ek khwaab..ajnabi sa,
ek raaz..ankaha sa,
ek jazbaat ..kahi daba hua sa....
ek ehsaas..un chua sa...
ek sangeet...un suna sa..
ek meethi noke-jhonk...
zindagi ko jeena bina rok-toke
wo daal me taaza taaza mirchi ka tadka
wo pehli pehli baar jab dil dhadka
baarish ki pehli boond ka aagaaz
jaise duniya ka sabse pyara sur-saaz
mitti ki wo bheeni-bheeni mahak
bachcho ki maasoom chahak
jeewan ki shaakho ki sabse pyari kyariyaan...
ajnabi,un chui,un suni,ankahi khushiyaan...