Sunday, December 7, 2008

ek khwaab..ajnabi sa,

ek raaz..ankaha sa,

ek jazbaat ..kahi daba hua sa....

ek ehsaas..un chua sa...

ek sangeet...un suna sa..

ek meethi noke-jhonk...

zindagi ko jeena bina rok-toke

wo daal me taaza taaza mirchi ka tadka

wo pehli pehli baar jab dil dhadka

baarish ki pehli boond ka aagaaz

jaise duniya ka sabse pyara sur-saaz

mitti ki wo bheeni-bheeni mahak

bachcho ki maasoom chahak

jeewan ki shaakho ki sabse pyari kyariyaan...

ajnabi,un chui,un suni,ankahi khushiyaan...

1 comment:

PraTeek said...

woh Daal main mirchi ka tadka
woh pehli pehli baar dil dhadka..

So Nice.. :)
Blend of Maturity and Innocence..
Saralta aur sahajta k saath vyapakta aur gehrai.... :)
Superb writing... :)
Keep on...