Tuesday, January 13, 2009

Gehraaai....

kya sach kya jhoot,
har raah dhundli si lagti hai....
zindagi itni apni hote huae bhi kyun,
itni begaani si lagti hai....
damak ta ujaala ho ya ghor andhera
jab ek samaan sa lagta hai
tab subah shaam ka arth kyun mit--ta sa lagta hai..

kya pratibimb,kya parchaai
agar hain apne vyaktitva ki hi gehraai...
tou insaan kyun saare jag mein
bechain ghumta hai....
kya ullaas kya uphaas
jab na rahe kisi ka vishwaas
tab ant-anant ka bhaav achoota sa lagta hai...
par jeevan k in palo mein bhi,
ishwar aur khud par vishwaas sahaara banta hai....

No comments: